Rice Recipes

Chana Dal Khichdi Recipe in Hindi – How to make Chana Dal Recipe

Chana Dal Khichdi, ek wholesome aur delicious meal hai, jo aap din mein ya raat ke khane mein enjoy kar sakte hain. Isme chawal aur dal ka perfect combination hota hai, jo naa sirf tasty hai balki health-friendly bhi. Iske liye, sabse pehle chane ki dal ko 2-3 ghante tak bhigo kar rakhna hai aur chawal ko 30 minutes ke liye bhigokar tayyar karna hai. Fir ek cooker mein tel garam karein, jismein jeera aur hing daal kar bhun lein. Chaliye banate hai Chana Dal Khichdi tayaar hai:

Preparation Time: 3 hrs
Cook Time: 20 minutes
Total Time: 3hrs 20 minutes
Serves: 4

Chana Dal Khichdi Recipe:

Ingredients:

  • Basmati Chawal (Rice) – 1 cup
  • Chana Dal (Bengal Gram) – 1 cup
  • Lal Mirch Powder (Red Chilli Powder) – ½ tablespoon
  • Hing (Asafoetida) – ¼ tablespoon
  • Pani (Water) – 2 cups
  • Jeera (Cumin Seeds) – 1 tablespoon
  • Namak (Salt) – Swadanusaar
  • Desi Ghee – 2 big tablespoons
  • Tel (Cooking Oil) – 2 big tablespoons

How to make Chana Dal Khichdi:

  1. Chana Dal Khichdi banane ke liye, chane ki dal ko 2 se 3 ghante (aap chahen to raat bhar) bhigo kar rakh lein aur chawal ko 30 minutes tak bhigo kar rakh dein.
  2. Ab cooker lein aur usme tel daalkar use garam karne rakhein. Tel garam hone par cooker mein jeera aur hing daalkar bhun lein.
  3. Jeera bhun jaane dheemi aanch par kuch seconds ke liye lal mirch powder ko bhun lein.
  4. Cooker mein bhigoyi hui chane ki dal ko paani se dho kar chaan kar daal dein aur dheemi aanch par do se teen minute tak paka lein.
  5. Aanch tez karein aur bhigoye aur dhule chawal, paani aur swadanusaar namak ko cooker mein daal kar achhe se mila lein.
  6. Cooker ko band karein aur ek seeti aane par aanch dheemi kar dein. Dheemi aanch par ek aur seeti aane ke baad cooker band kar dein.
  7. Cooker ka pressure khatam hone par dhakkan kholen. Khichdi mein 2 bade tablespoons desi ghee mila lein.
  8. Swadisht Chana Dal Khichdi taiyaar hai. Dahi ke saath iska aanand lein.

How to make Chana Dal – चना दाल खिचड़ी बनाने का तरीका

Ingredients:

  • बासमती चावल (Rice) – 1 कप
  • चना दल (Bengal Gram) – 1 कप
  • लाल मिर्च पाउडर (Red Chilli Powder) – ½ चम्मच
  • हींग (Asafoetida) – ¼ चम्मच
  • पानी (Water) – 2 कप
  • जीरा (Cumin Seeds) – 1 चम्मच
  • नमक (Salt) – स्वादानुसार
  • देसी घी – 2 बड़े चम्मच
  • तेल (Cooking Oil) – 2 बड़े चम्मच

How to make Chana Dal Khichdi:

  1. चना दाल खिचड़ी बनाने के लिए, चने की दाल को 2 से 3 घंटे (आप चाहें तो रात भर) भिगो कर रखें और चावल को 30 मिनिट तक भिगो कर रख दें।
  2. अब कुक्कर लें और उसमे तेल डालकर उसे गरम करने रखें। तेल गरम होने पर कुक्कर में जीरा और हींग डालकर भुन लें।
  3. जीरा भुन जाने धीमी आंच पर कुछ सेकेंड्स के लिए लाल मिर्च पाउडर को भून लें।
  4. कुक्कर में भिगोई हुई चने की दाल को पानी से धो कर छान कर डाल दें और धीमी आँच पर दो से तीन मिनिट तक पका लें।
  5. आँच तेज़ कर दें और भिगोये और धुले चावल, पानी और स्वादानुसार नमक को कुक्कर में डालकर अच्छे से मिला लें।
  6. कुक्कर को बंद करें और एक सीटी आने पर आँच धीमी कर दें। धीमी आँच पर एक और सीटी आने के बाद कुक्कर बंद कर दें।
  7. कुक्कर का प्रेशर ख़तम होने पर ढक्कन खोलें। खिचड़ी में 2 बड़े चम्मच देसी घी के मिला लें।  स्वादिष्ट चना दाल खिचड़ी तैयार हैं। दही के साथ इसका आनंद लें।

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *