BeveragesShakes

Banana Ice Cream Shake Recipe- बनाना आइसक्रीम शेक बनाने की विधि

Banana Shake ek aisa drink hai jo bachchon se lekar bado ko bahut pasand aata hai. Ise banana bahut hi saral hai. Kele ke milkshake mein vanilla ice cream daalne se uska swad aur bhi badh jata hai. Isliye aaj hum aapke liye laye hain Banana Ice Cream Shake banane ka tarika.

Aap chahein to kele ki jagah strawberry ya chocolate daal kar strawberry shake aur chocolate shake bhi bana sakte hain. Aaiye jaane Banana Shake Recipe with Ice Cream

Prep Time: 10 minutes
Total Time: 10 minutes
Makes : 2 glasses

Banana Ice Cream Shake Recipe:

Ingredients:

  • Kele (Banana) – 2 (Pake hue)
  • Doodh (Milk) – 1 glass (Thanda)
  • Ilaichi Powder (Cardamom Powder) – Ek chutki
  • Cheeni (Sugar) – 2 chammach
  • Pista, Kaju, Badam (Dry Fruits) – 1 bada chammach
  • Kishmish (Raisins) – 1/2 chammach
  • Rose Syrup – 1 chammach
  • Vanilla Ice Cream – 1 scoop

Banana Ice Cream Shake Banane ka Tarika:

  1. Ice cream banana shake banane ke liye, sabse pehle kaju, badam, pista ko baarik kaat kar ek taraf rakh lein.
  2. Kele ko pieces mein kaat kar mixer mein ilaichi powder, rose syrup, cheeni, aur thode se doodh ke saath daal kar blend kar lein.
  3. Tab tak blend karein jab tak mishran smooth na ho jaaye. Smooth ho jaane par baki bacha hua doodh mixer mein daal kar phir se blend karein.
  4. Tayyar banana shake ko glass mein daalein aur upar se vanilla ice cream ka scoop daalein.
  5. Kate hue dry fruits aur ek chammach roohafza se saja kar thanda thanda banana shake serve karein aur khud bhi anand uthayein.

Upar di gayi Banana Milkshake Recipe with Ice Cream ko apne ghar aaye mehmano ko serve karein ya phir apne bachchon ke liye banayein. Humey aasha hai ki aapko yahan di gayi recipe pasand aayi hogi.

बनाना आइसक्रीम शेक बनाने का तरीका Banana Ice Cream Shake Recipe in Hindi:

Ingredients:

  • केले (Banana) – 2 (पके हुए)
  • दूध (Milk) – 1 ग्लास (ठंडा)
  • इलाइची पाउडर (Cardamon Powder) – एक चुटकी
  • चीनी (Sugar) – 2 चम्मच
  • पिसता, काजू, बादाम (Dry Fruits) – 1 बड़ा चम्मच
  • किशमिश (Raisins) – 1/2 चम्मच
  • रोज सिरप (Rose Syrup) – 1 चम्मच
  • वेनिला आइस क्रीम (Vanilla Ice Cream) – 1 स्कूप

घर पर बनाना आइसक्रीम शेक कैसे बनाएं – Banana Ice Cream Shake Recipe in Hindi:

  1. आइस क्रीम बनाना शेक बनाने के लिए, सबसे पहले काजू, बादाम, पिसता को बारीक काट कर एक तरफ रख लें।
  2. केले को पीसस में काट कर मिक्सर में इलाइची पाउडर, रोज सिरप, चीनी और थोड़े से दूध के साथ डाल कर ब्लेंड कर लें।
  3. तब तक ब्लैंड करें जब तक मिश्रण स्मूथ न हो जाए। स्मूद हो जाने पर बाकी बचा हुआ दूध मिक्सी में डालें और फिर से मिक्स कर लें।
  4. तैयार बनाना शेक को ग्लास में डालें और ऊपर से वेनिला आइस क्रीम का स्कूप डालें।
  5. कटे हुए ड्राइ फ्रूट्स और एक चम्मच रूहफ्ज़ा से सज़ा कर ठंडा ठंडा बनाना शेक सर्व करें और खुद भी आनन्द उठाएं।

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *