Namkeen Rice Recipe in Hindi – How to make Namkeen Rice at Home
Namkeen Chawal banane mein bahut hi aasan hai. Yahaan humne simple Namkeen Basmati Rice banaye hain. Aap chahein to pasand ki sabziyan daal kar pulav bhi bana sakte hain. Lekin agar aap chawal mein kuch jhatpat banana chahte hain to Plain Namkeen Chawal ek accha option hai.
Namkeen Chawal Banane ka Tarika
Ingredients:
- Basmati Chawal – 1 cup
- Pani – 2 cups
- Ghee (Clarified Butter) – 2 bade chammach
- Laung (Cloves) – 2 kaliyan
- Dalchini (Cinnamon) – 1 tukda
- Lal Mirch Powder – 1/4 chammach
- Namak – Swad anusar
- Haldi (Turmeric Powder) – 1/4 chammach
- Garam Masala – 1/4 chammach
Ghar Par Namkeen Chawal Kaise Banaye:
- Namkeen Chawal banane ke liye, sabse pehle chawalon ko saaf karke paani se acche se 2-3 baar dho lein aur aadhe ghante ke liye paani mein bhigokar rakh dein.
- Ek kadai mein ghee garam karein. Garam ghee mein laung aur dalchini daal kar bhoon lein.
- Aanch dheemi kar dein aur kadai mein haldi powder daal kar 10 se 15 seconds ke liye bhoon lein.
- Ab kadai mein bhigoye hue chawal, lal mirch powder aur swad anusar namak daal kar saath hi 2 cups pani mila lein.
- Aanch tez karein, aur bhigoye hue chawalon, pani, aur swad anusar namak ko cooker mein daal kar achhe se milayein.
- Cooker ko band kar dein aur ek seeti aane tak dheemi aanch par pakayein. Seeti aane ke baad cooker ko band karein aur ghee milakar swaadisht Namkeen Chawal tayaar hai. Ise dahi ya raaita ke saath serve karein aur maze karein
नमकीन चावल बनाने का तरीका
Ingredients:
- बासमती चावल (Basmati Rice) – 1 कप
- पानी (water) – 2 कप
- घी (Clarified Butter) – 2 बड़े चम्मच
- लौंग (Cloves) – 2 कलियाँ
- दालचीनी (Cinnamon) – 1 टुकड़ा
- लाल मिर्च पाउडर (Red chilli Powder) – 1/4 चम्मच
- नमक (Salt) – स्वादानुसार
- हल्दी (Turmeric Powder) – 1/4 चम्मच
- गरम मसाला (Garam Masala) – 1/4 चम्मच
घर पर नमकीन चावल कैसे बनाएं – Namkeen Chawal Recipe in Hindi:
- नमकीन चावल बनाने के लिए, सबसे पहले चावलों को साफ़ करके पानी से अच्छे से २ से ३ बार धो लें और आधे घंटे के लिए पानी में भिगो कर रख दें।
- एक कड़ाही में घी गरम करें। गरम घी में लौंग और दालचीनी डाल कर भून लें।
- आंच धीमी कर दें और कड़ाही में हल्दी पाउडर डालें और 10 से 15 सेकेंड के लिए भून लें।
- अब कढ़ाई में भिगोये हुए चावल, लाल मिर्च पाउडर और स्वादानुसार नमक डालें और साथ ही २ कप पानी मिला लें।
- आंच तेज़ कर दें और कढ़ाई को धक दें। एक उबाला आने पर आंच धीमी कर दें और धीमी आँच पर चावलों को पकाएं।
- जब चावलों का पानी सूख जाए तो आंच बंद कर दें। कड़ाही को 5 से 1० मिनट ढके ही रहने दें।
- तैयार नमकीन चावलों को सर्विंग प्लेट में डालें और उपर से एक चम्मच देसी घी और गरम मसाला छिड़क दें। दही या रायते के साथ गरमा गरम स्वादिष्ठ नमकीन राइस सर्व करें।