Tinde ki Sabji Gravy Recipe – Tinde ki Gravy Wali Sabji Kaise Banaye
Tinde ka istemal kai tariko se kiya ja sakta hai, lekin yahan hum gravy wale tinde ki sabzi ki recipe batayenge jo hum umeed karte hai aap sabhi ko pasand aayegi. Isme masaledar gravy aur tinde ka perfect mel milta hai.
Samagri (Ingredients):
- Tinda (Round gourd) – ½ kilo
- Pyaaz (Onion) – 3 medium-sized
- Hari Mirch (Green Chilli) – 1
- Tamatar (Tomato) – 2
- Heeng (Asafoetida) – 1 chutki
- Dhaniya Powder (Coriander Powder) – 1 chammach
- Lal Mirch Powder (Red Chili Powder) – ½ chammach
- Jeera (Cumin Seeds) – 1 chammach
- Haldi Powder (Turmeric Powder) – ½ chammach
- Hara Dhaniya (Fresh Coriander) – Upar se dalne ke liye
- Tel (Cooking Oil) – 2 bade chammach
- Namak (Salt) – Swadanusar
Ghar par Tinde ki Sabzi Kaise Banayein – Gravy Tinda Sabji Recipe:
- Tinde ki sabzi banane ke liye, tinde ko dhokar cheel lein aur har tinda ko char tukdon mein kaat lein. Pyaaz, tamatar, aur hari mirch ko bhi alag-alag barik kaat kar ek taraf rakh dein.
- Ab ek cooker mein tel garam karne rakhain. Garam tel mein heeng aur jeera daal kar bhun lein.
- Cooker mein barik kata hua pyaaz daalein aur madhyam aanch par bhura hone tak pyaaz ko chalate rahein. Jab pyaaz bhun jaaye, to kate hue tamatar daal kar achhe se milayein aur madhyam aanch par pakayein.
- Jab pyaaz-tamatar ka tadka tel chhodne lage, tab aanch dheemi kar dein aur cooker mein hari mirch, dhaniya powder, lal mirch powder, aur haldi powder daal kar milayein. Aur 1 se 2 minute tak achhe se bhun lein.
- Ab cooker mein kate hue tinde daalein aur milayein. Saath hi gravy ke anusar lagbhag ek ya dedh cup paani aur swadanusar namak daal kar milayein. Cooker ka dhakkan band kar dein aur ek seeti aane tak gas par tez aanch par pakayein.
- Ek seeti aane ke baad gas dheemi kar dein aur dheemi aanch par sabzi ko pakne dein. Fir gas band kar dein.
- Cooker ka pressure khatam hone par cooker ka dhakkan kholen aur upar se barik kata hua dhaniya daal kar garama garam roti ke sath serve karein.
How to make Tinde ki Sabji – टिंडे की सब्जी Banane ki Vidhi
Ingredients:
- टिंडा (Round gourd) – ½ किलो
- प्याज़ (Onion) – 3 , मध्यम
- हरी मिर्च (Green Chilli) – 1
- टमाटर (Tomato) – 2
- हींग (Asafoetida) – 1 चुटकी
- धनिया पाउडर (Coriander Powder) – 1 चम्मच
- लाल मिर्च पाउडर (Red Chili Powder) – ½ चम्मच
- जीरा (Cumin Seeds) – 1 चम्मच
- हल्दी पाउडर (Turmeric Powder) – ½ चम्मच
- हरा धनिया (Fresh Coriander) – ऊपर से डालने के लिए
- तेल (Cooking Oil) – 2 बड़े चम्मच
- नमक (Salt) – स्वादानुसार
घर पर टिंडे की सब्जी कैसे बनाएं – Gravy Tinda Sabji Recipe in Hindi:
- टिंडे की तरी वाली सब्ज़ी बनाने के लिए, टिंडों को धो कर छील लें और हर टिंडे को चार टुकड़ो में काट लें। प्याज, टमाटर और हरी मिर्च को भी अलग अलग बारीक काट कर एक तरफ रख दें।
- अब एक कुकर मे तेल गरम होने रखें। गरम तेल में हींग और जीरा डाल कर भून लें।
- कुकर में बारीक कटा प्याज डालें और मध्यम आंच पर भूरा होने तक प्याज चलाते रहे। प्याज भुन जाने पर कटे हुए टमाटर डाल कर अच्छे से मिलाएं और मध्यम आंच पर पकाएं।
- जब प्याज टमाटर का तड़का तेल छोड़ने लगे तब आंच धीमी कर दें और कुकर में हरी मिर्च, धनिया पाउडर, लाल मिर्च पाउडर और हल्दी पाउडर डाल कर मिलायें और 1 से 2 मिनट के लिए पकाएं।
- अब कुकर में कटे हुए टिंडे डालें और मिलाएं। साथ ही ग्रेवी के अनुसार लगभग एक या डेढ़ कप पानी और स्वादानुसार नमक डाल कर मिलाएं। कुकर के ढक्कन को बंद कर दें और एक आंच तेज़ कर दें।
- एक सीटी आने पर गैस धीमी कर दें और धीमी आंच पर सब्ज़ी को पकने दें और फिर गैस बंद कर दें।
- कुकर का प्रेशर ख़तम होने पर कुकर का ढक्कन खोलें और ऊपर से बारीक कटा हुआ धनिया डाल कर गरमा गरम रोटी के साथ सर्वे करें।